Monday 25 July 2016

Menses rokne ka tarika

Menses Rokne Ka Tarika Aur Menses ka pain kis tarha sai kam kiya jaye ? 
Menses (Periods) jo her jawan balig larki aur aurat ko mahenay main 7 days k liye normally hote hein jis sai aurat ki jawani ka saboot milta hai wo aager 7 days sai zyada hojaein aur continue hote rahein toh larki ya aurat ki sehat bohat zyada khatray main ajati hai. Menses ki tablets in Pakistan - Menses ki Tablets in India yeh keywords bohat zyada log talash karte hein lakin wo yeh nahi jaante k in tablets ka ya menses stop karne wali medicines ka side effect kya hota hai, mai her giz aap ko suggestion nahi doonga k aap bina doctor k mashwaray sai menses wali tablets use karein balkay mai aap ko kahoonga k aap pehle totka use karein menses naturally stop kis tarha kiya jata hai wo totka aap ko batanay ja raha hoon. 


How to stop menses in Urdu 

Bohat sari auratein / larkiya yeh baat nahi jaanti k wo thandi cheezein khane main istemaal kar k apne menses ko rok sakte hein aur menses sai hone walay pain sai nijaat hasil kar sakti hein. Dahi ka istemaal aur iss k sath sath doodh ka istemal aap ko menses k pain sai nijat dilwata hai. Green vegetables tamam ki tamam toh nahi recommend kar sakta lakin cucumber (Kheera), Salad k pattay aur kakri khanay sai aap k menses juldi stop ho sakte hein. Menses k darmiyaan aap ko pani ka istemaal bi zyada sai zyada karna hoga. 


Menses me kya karna chahiye ? 

Menses me aap ko Garam cheezein nahi khani chahiyeh, jis main meat (gosht) chahay wo cow meat ho ya fish meat ya kisi bi jaandar cheez ka meat aap use nahi karein gi. Na he aap white meat ki taraf jaein gi na he aap red meat ki taraf. Tamam garam cheezein jaise badam, pista, kaju aur mango juice wagera aap un sub cheezo sai parheez kar k thandi cheezein istemaal karein gi. Aager tabiyat zyada kharab ho toh aap ko sharamanay k baja ay doctor sai rabta karna chahiyeh. Lady doctor ko puri baat khul k batani chahiyeh aur during menses khas tor per aap ko apne aap ko control rakhna hai kisi dirty adult movie ko nahi dhekhna na he aap ne apni fingers sai kuch galat amal karna hai. Please in tamam cheezo ka Islam main bi mana hai aur aap ne bi apni health ki fikar karte howe in tamam cheezo sai doorh rehna hai warna iss ka anjaam bohat bura hota hai, internal infection ki surat main aap ko iss ka result mil sakta hai. 

Umeed hai k aap samajh chuki hoongi k menses kis tarha sai rokne hein aur menses k doran kis cheez ka istemaal karna hai. Please comments dein aur hamari blogger site share karna na bhoolein. Allah Hafiz. Thank you for reading our article.

No comments: